“Lag Jaa Gale” is a Hindi song with music composed by Madan Mohan Kohli and lyrics written by Raja Mehdi Ali Khan. It was featured in the 1964 Bollywood film Woh Kaun Thi? and was released under the music label Saregama.
RELATED: Sam Smith Ft Normani – Dancing with a stranger Lyrics
The song was performed by the film’s star, Sadhana, on screen, but was actually sung by playback singer Lata Mangeshkar.”
Lag Ja Gale LYRICS – Lata Mangeshkar
Lag ja gale ke phir yeh
Haseen raat ho na ho…
Shayad phir iss janam mein
Mulaqaat ho na ho
Lag ja gale… ae… ae…
Humko mili hain aaj yeh
Ghadiyaan naseeb se
Humko mili hain aaj yeh
Ghadiyaan naseeb se
Jee bhar ke dekh leejiye
Humko qareeb se
Phir aap ke naseeb mein
Yeh baat ho na ho…
Shayad phir is janam mein
Mulaqaat ho na ho
Lag ja gale… ae… ae…
Paas aaiye ke hum nahin
Aayenge baar baar
Paas aaiye ke hum nahin
Aayenge baar baar
Baahein gale mein daal ke
Hum ro lein zaar zaar
Aankhon se phir yeh pyaar ki
Barsaat ho na ho
Shaayad phir is janam mein
Mulaqaat ho na ho
Lag jaa gale ke phir yeh
Haseen raat ho na ho
Shaayad phir iss janam mein
Mulaqaat ho na ho
Lag ja gale… ae… ae…